Saturday, November 9, 2013


Doondh ke oos paar
Jammu Kashmir rajay  ko accession ke baad bharat se sambhidhanik drishti se door ja najdeek dekhana neyayae sangat nahin hai
By
*Daya Sagar
Bharat virodee shaktieon aur kush  aantrik satta par nazar rakhanae balae  logoan ne Bharat ke vidhan ki dhaara  370  , J&K Vidhan , rajay dawaj jaesae vishayeon ko J&K rajay ko bharat se alag kar ke bahar ki dooniaan aur aam admi ke samnae rakhnae ke lagataar paryaas keeyae hain.Enhee parayasoan mein ek aur kadee Omar Abdullah jee ne , janae anjanae, 25 September ke din European Union ke rajdoot  Joao Cravinho ke netrativ balae ek pratineedhemandal se huyee apnee varta ka veora detae huyae jod dee hai. Aaj oon ki baat cheet ka veora smachaar banae huyae karib teen saptah honae balae hain par na hi eis sandharv mein kahae geyae shabdoan ka oon ki aur se koyee khandan aeyaa hai na hi kam se kam Bharat ke greh mantralay ki aur se Omar Abdullah dawara oothay geyae parashnaon ya oon ke dawara accession jaesae visheon ki kee geyee veakheaa ka koyee khandan ya  kisee aur prakaar ki veakhyaa huyee hai.
Esee tarah se jammu Kashmir ke nagrikoan ke liyae STATE SUBJECT CERTIFICATE ya Permanent  Resident Certificate ke prabhdhaan ko bhi algabbaad ke chinh ke tor par deekhaeya jaata rahaa hai jab ke J&K constitution ki Section- 6 ke anusaar   J&K  state subject certificate sirf oos vayakti ko mil sakta hai pehlae bharat ka nagrik ho. Par eisbaat ko badae halkae dang se leeya geyaa hai.Jis ki bharat ki nagrikta chalee jaeygee oos ka Permanent Resident ka darja khud hi chala jaega.
Esee prakaar kush log jeh kehtae hain ki Dhara 370 Jammu Kashmir  ko vaidanik str ( constitutionally )  par special status deta hai jab ki Bharat ke Vidhan mein yeh special daraom ( articles ) ki shreni mein aanae ke bajaey  temporary dharaon me rakhee geyee hai. Par eis deesha mein bhi sahee vibran aur veeyakheyaa karnae ke pareyaas Delhi dawara  sahee deesha mein nahin huyae hain.Eis liyae na hotae huyae bhi dhara 370  ko algabbaad ka ek chinh bana kar Bharat Sarkaar virodee aur Bharat Rashtra virodee tatboan ke leeya  aam nagrik aur dooniaan ko deekhanae ke leeyae ek tarah se shod deeya geyaa hai.
Bharat ka sambhidan aur Jammu Kashmir riayasat aksar charcha aur baad vivaad ka vishay banaeya geya hai.Par aaj ke din yeh vishay, jab bhi Jammu Kashmir ke sandharv mein baat hotee hai, jaroor sab ka dhayaan kheench leta hai. Kush log to kehtae hain ki  bharat ke sambhidhan ki dhara( article) 370 hi aaj bhi mool vivaad ( Kashmir ke vishay mein) ki jad hai . Kush log toe jahaan tak keh detae hain hain ki dhara 370 jaesee dhara  rakhanae ki sharat Maharaja Hari Singh dawara keeyae geyae ‘accession’ mein leekhi thee. Eis se asatay (lie) aur mun- ghadat baat aur keeya ho sakti hai par aesa kehnae baloan ko bhi Delhi  avam mukhaydhara ke kahae jane balae neataon dawara  samay par nakaara aur fatkaara nahin geyaa hai. Satta se judae jo log jeh mantae aur kehtae hain ki aab dhara 370  koyee khaas mahatab nahin rakhtee kayon ki  esee dhara ke rastae  bharat ke vidhan ke bahoot se prabdhan, bharat ki sansad dwara parit bahoot se kanoon aur Jammu Kashmir ke vidhan ki kush kunthit dharoaon ka badla swaroop  aaj Jammu Kashmir ko Bharat ke vidhan ke bahoot karib le aeyae hain.Par eis prakaar ke baat kehna  bhi theek nahin hai keon ki Dhara 370 bharat ke samvidhan ka ansh hai aur sambhidhanik darishti se  jammu Kashmir rajay ko 1947 ke accession ke baad bharat se sambhidhanik dristi se door ja najdeek dekhana neyayae sangat nahin hai aur aesa kehnae se shankaon ka nivaran nahin hota. Haan jeh jaroor kahaa ja sakta hai ki jasae bharat kee kush reaasatoan ke leeyae bharat ke sambhidhan mein  Dhara249 aur Dhara 371 jaesee dharaein 1950  mein rakhee gehyee theen baesae hi J&K rajay ke leeyae Dhara-370 rakhee geyee thee.
Jo log jae mantae hain ki Dhara-370 ke karan Jammu Kashmir Rajay ka bharat mein poorn Milan nahin huyaa hai oon ko yeh bhi kehna chahiyae ki jin rajeon ke leeyae leekhit roop se State List banee hai aur jab tak bharat ke sambhidhan mein Dhara -249 hai tab tak oon ka bhi  bharat ke saath accession(‘vilay’) poorn nahin hai. Par aesa na  oon logoan ne aaj tak kahaa hai aur na bo keh saktae hain. Agar kush kaha ja sakta hai toe bo sirf jae ho sakta hai ki Dhara-370 ke rastae aaj J&K riyasat bhi bahrat ke anay rajeon ki vaidhanik karaypranaali ke bahoot karib aa geyee hai. Eis liyae  eis Vishay mein ab jeada vaad vivaad nahin hona dena chahiyae.
Par aaj ke din yeh bhi ek katu sataya hai ki Bharat ke saath Jammu Kashmir rajay ka samvedhanik rishta, jo aam admi ko kush mukhay dhara ke logoan dawara bhi, beena rok tok ke deekhanae ki koshish hotee rahi hai, jakinan  oon logoan ke liyae jo bharat virodhi hain and Jammu Kashmir ki samvedhanik sthitee par prashan oothatae hain/ aur oothatae rahae hain ek aesa hathiaar ban geyaa hai jis ka tod lagta hai aaj ke din Delhi mein baithee sarkaroan ko aasani se milta nahin dikhta ya bo eis Vishay mein 2013 mein bhi samvedansheel nahin hai.Agar aesa  na hota toee Omar Abdulla Jee dwara 25 Septembter ko kahee geyee batoan , jasae k I …..( i). J&K’s accession with India was on four issues only—Currency, Communication, Foreign affairs and Defence.(ii).“While all the states acceded to Union of India and then merged with it, JK only acceded and did not merge. That is why we have a special status, our own constitution and the State flag,” (iii).There are diverse views regarding the Kashmir issue. While one extremist view is for secession, The other extremist opinion is total merger of the state with the union of India. .. ka Delhi dawara kareeb 3 saptah baad bhi spashtikaran na denae  ki baat na hotee.
 Samay ke saath saath  Bharat aur Jammu Kashmir ke sambandoan par prashan oothanae balon ki sankheya bhi badtee geyee hai. Aur khaas kar Kashmir ghati ke aam admi ke man mein  bhi din prati din  shankayein badtee geyee hain jis ka labh alagabbaadion ko mila hai, eis tathay ko har bharti ko aaj manna hoga aur apnae rajnetaon par ab sthitee ko samvedansheelta se lenae ke leeyae dabab banana hi hoga. Eis Vishay mein ab jeada vaad vivaad nahin hona dena chahiyae.
Bharat ke greh mantaralay ko, agar bahaan satta mein baethae log bharat ki jammu Kashmir riayasat mein shanti bahalee ke leeyae sach much chintit hain, beena kisee deree ke kam se kam “accession” aur “merger” jaesae shabdaon kae veobharik arth ko apnae dang se keh kar neyae veevaad paeda karnae balae vaktbeon ka ( bo bhi  accession ke 66 saal baad Jammu Kashmir ke Mukhay Mantri dawra ) oochit oottar dena  hi hoga  aur eik oochit ‘advisory’ bhi issue karni hogee.
‘Merger’ aur ‘accession’ shabdoan ka arth oos seema se parae nahin dekha ja sakta jo sambhidhan bananae baloan ne apnae samnae rakhee thee jaesae ki ‘merger’ shabd oon  princely states par lagoo hota tha jin ko samay stheetee ko dheyaan mein rakhtae huyae ek doosarae mein meela deeya tha. Chotae rajay doosarae rajayeon mein  poori tarah apna astitv chod kar milae thae, na ki bharat mein. Eis baat ke meetheya prachaar karnae balaon ko bharat ko rokna hoga.
( * Daya Sagar is a Sr coloumnist of Kashmir affairs and a social activist  dayasagr45@yahoo.com).

No comments:

Post a Comment