Doondh ke oos paar
hindu
aur muslim samudaey ke beech rekhaein
kheenchanae balee neetion ko badlana hoga
By
Daya
Sagar
Aaj jammu Kashmir mein yeh kehna bahoot
kathin hai ki kaun aam admi ki samajik aur dharmik bhawnaon avam masoomiat se khel rahaa hai.
Rajneeti ke satta paksh mein baethae log
bhi ab jis tarah se aeyae din vaktabay
detae hain oos se eis riasat ka bhalaa toe kam hota hai, par bharat virodee aur alagaabbadi shaktion ko
jaroor bal milta hai.
Jab bhi mein jammu Kashmir ke Vishay par kush
likhna shooroo karta hoon toe har baar merae samnae ek hi prashan khada ho jata
hai ki kab bharat ki se judae log jammu
Kashmir ki peeda ko vote ki rajneeti se
opar ooth kar mehsoos karnae ki koshish karein gae. Jammu Kashmir ke
logoan ko aur kab tak conventional netaon
par ashrit rehna padae ga , yeh bhi ek vichar karnae yogay Vishay hai.
Ho
sakta hai kush logoan ko yeh mannae mein kathnayee ho, par yeh aaj ke din ek
kattu satya hai ki jammu Kashmir rajay ke log aaj samajik, rajinitik aur bowgolik
(geographical) darishti se sankaon mein dastae jaa rahae hain. Esa lagta
hai ki Jo Riyasat 1947 ke pehlae ek sangathit smooh ki tarah dikhtee thee bo
aaj kahin samajik aur bowgolik str par bikhar na jayae. Rajneeti karnae balae
toe apnae swarth ke leeyae janta ko neglect kar saktae hain par jab buddee jeevee aur
chintan karnae balae log bhi Vishay vaastu se parae ho jaein toe chinta ka
badna swabhabik hi hai.
Aksar
jeh dosh lagaey jatae hain ki dilli mein baethae logoan ne kabhi jammu Kashmir
riasat ko shaee dang se jananae ki koshaish nahin ki aur jeadatar Vishay geyaan
jo jammu Kashmir ke barae mein log rakhtae hain oos ka adhaar Kashmir ghati ke
netaon aur buddee jeveon dawara ki geyae veeyakheya hi hai. Eis prakaar ke dosharopan
mein tab jaroor sachayee dikhtee hai jab
satta mein baethae aur Congress ke netaon ki baat toe door , bo log bhi
jo jammu Kashmir rajay ki bigdee sthtee ke leeyae congress aur Nehru ko doshee
karar detae hain jammu Kashmir ke barae
mein nagdeek se jannae ki koshish kartae nahin dikhtae.
Esee
27th August ko Times Now TV Channel par ek charcha mein bjp ki rastriyae spokes person smt meenakshi lekhi bhi
baethee theen ( jin ki ginti aaj achchae vishleshakaon mein hotee hai) par jab oonhoan ne yeh kaha ki J&K mein
Kashmiri pandits ko minority status dena chahiyae toe oon ke Vishay geyaan par merae jaesae vayaktee
ko hairanee hona ( mein taras nahin kahoon ga ) sawabhik tha. Meenakshi jee ki maang ko dekh koyee yeh nishkarash neekaal sakta hai ki J&K
Rajay mein agar koyee hindu rehta hai to bo sirf Kashmir Pandit hai. Agar
Meenakshi jee sirf Kashmir Ghati ki baat kar rahee theen toe oon ko geyaat hona
chahiyae ki bahaan Kashmiri brahmanaon
ke elaaba aur bhi hinduoan ki jateeaan hain jo sankhaeya mein Kashmiri pandits
se bhi kam hain. Yeh bhi arop lag sakta hai bo Kashmir gahti ke migrant ki baat
sirf Hindu vote ko dekhtae huyae kar rahee theen. Esee prakaar ke rajneetik
drishteekon ki bajah se hi aaj 23 saal
baad bhi Kashmir ghati se badee sankheya mein 1989 ke baad beghar huyae log aaj bhi ghati ke bahar hain
jab ki kush rajneetik dal pichlae do
dashkaon se Kashmir ghati se huyae
palayan ke virrodh mein aawaj oothatae rahe hain. Eis prakaar ki aaproach se kush log jammu Kashmir mein bhayee charae
ke tanae-banae ko oodaednae mein sheyog kartae dikhtae hain.
Ho
sakta hai rashtriyae rajneetik daloan ke neta eis prakaar ki batein apnae sthaniyae satheeon
dwara dee geyee soochanaon ke adhar par kehtae hoan, par eis se bo adhoora Vishay
geyaan honae ke aropoan se bach nahin saktae.
Agar Meenakshi jee jaesae BJP ke kush log Kashmiri Pandits ( keon ki oonhoan ne Hinduoan ki baat nahin
ki ) ko J&K mein minority status denae ki baat eis leeyae kartae hain ki bo
Kashmir Ghati ke“mool” neebasee hain toe
pehlae BJP ke ein netaon ko Kashmir Gahti ko ek alag rajay bananae ki maang
saaf shabdoan mein rakhnee chahiyae. Yadee aesa nahin hai to phir BJP ke shirsh
netaon ko Meenakshi jee ki maang se
apnae ko saaf shabdoan mein alag karna chahiyae. Aaj ki sthetee ko dekhtae
huyae shayad J&K rajay ko badae bharee
man se Jammu State ( Jammu
praant of 1947 times ) aur Kashmir State ( Kashmir kashtra) mein baant kar avam
bharat par oothtae geyae prashnaon ko
Kashmir ghati tak seemit kar ke hi jammu Kashmir kea am nagrik ko mansik
trasdee se bahar neekala ja sakta hai.
Jammu
Kashmir Riyasat mein pichlae 20 saloan mein kabhi bhi aesa ehsaas nahin huyaa
ki jammu kashetra mein hindu aur muslim ke beech gehree dararein pad rahee hain
aur bharat virodee tatv apnee jadein faela
rahae hein. Jammu Kashmir kee door
daraaj eelakoan mein bahoot sankheya mein muslim samudayae ke log rehtae hain
aur ein elaakaon ke logoan ko jab dharam
ke naam par doosaroan se alag karnae ki koshish ke sabhee paryaas vifal hotae
jaa rahae thae toe Kashmir ghati kendrit kush logoan ne aur alagabbadion
ne ein logoan ko Chenab Valley ya Pir
panchal Smooh ke naam par alag karnae ke paryaas shooroo kar deeyae. Kashmir
gahti ke kush samachaar patroan mein ein elaakoan ka oolekh Chenab valley
jaesae smabodhanaon se shooroo ho geyaa hai. Yahaan par yeh oolekh karnae yogay
hai ki Jammu Kashtra ke Doda, Kishtwar,
Ramban, Udhampur, Rajouri ke door daraj ke muslim bahul eelakaon mein
attankbaad Kashmir ghati ke saath hi shooru ho geyaa tha, ein eelakoan mein
hinduoan ko chun chun kar aur muslmanaon ko virodh karnae par berehmi se attankbadion ne neeshana baneya,
par ein eelakoan mein sadbhavna ki kadeeaan(links
) ootnee kamjor nahin huyee aur log oon eelakoan mein banae rahae ( migrate nahin huyae). Par rajneeti karnae balae jaal mein fanstae chale
geyae aur aaj yeh stheetee ho geyee hai ki Chadambram ji ko 12 August ke din
Rajay Sabha mein Jammu Kashmir ke Kishtwar kasbae mein 9th August ke
din shooroo huyee hinsa aur oopdravoan
ko hindu aur muslim samudayae ( na ki do samudaon ) ke beech kush muslim samudaey ke logoan
dawara rashtra virodee / azadi ke narae (slogans) laganae ke baad huyae takraab ka
nateeja hona saaf shabdoan mein kehna padaa. Aur yeh sab kush Eid ke pawan parv
ke din huyaa tha. Yeh kisee bhi veecharak ke leeyae atee chinta ki baat honee
chahiyae. Bharat
Virodee, 1947 ke J&K ke bharat mein Vilay Virodee aur Pakistan
samarthak toe chahtae hi hain ki jammu Kashmir mein jo andolan aur maangein
Kashmir Ghati kendrit rahae hain kisee tarah se J&K ke poorae muslim
samudaey ka chehra le lein. Eis leeyae jammu Kashmir ke barae mein dilli mein
satta mein baethae logoan aur sabhi rahstriyae dalaon ko J&K ke barae mein
apnee ab tak ki neeteon ko badlna hoga.
jammukashmir
ke mukhay dhara ke kahae janae balae netaon
par aaj ke din sab se badee jeemaedaree yeh hai ki agar bo jammukashmir ka hit Bharat mein dekhtae
hain toe bharat Sarkaar aur rashtra par
seedeh ja aprataksh arop lagana band kar dein aur alagabbadion aur
samaj virodee tatboan ko prajit karnae
ke leeyae neyee neetian banaein.
Jo
log apnae ko Kashmiri migrants ka shuvchintak samajatae hain oon ko Kashmir
migrants ko ghati mein bapis le janae ke leeyae
shanti aur sadhwavna ka vatavaran
paeda karnae ka kaam karna chahiyae na ki hindu aur muslim samudaey ke beech
aur rekhaein kheenchanae ka. Yeh Kashmir ghati ke hit mein bhi hoga
ki bahaan ke mukhaydhara ke neta ab baad veebadh ki rajneetee ko nakaar dein aur oon tatboan
ke virod mein sab se mil kar khadee ho jayein jo jammu Kashmir reyaasat
ke logoan ko ab dharam ke naam par bantna chahtae hain ja Kashmir ghatee ko bharat se alag karnae ja alag dekhanae ki
koshish mein lagae hain.
No comments:
Post a Comment