Doondh ke oos paar
Jammu Kashmir ke aam nagrik tak sachaeyee ko saaf aur seedae shabdoan
mein pahoonchana hoga
By
Daya Sagar
Jammu Kashmir riayasat doosari bhartiya reasatoan ki tarah hi hai
eis baat ko Kashmir ghati mein jameenee str par le janae ko aaj prathmikta
denee hogee agar dilli balae Kashmir Ghati se pichlae 23 saal se bahar batak
rahae kashmiri hindu visthapit parivaroan ko oon ke ghar bapis le janae ke
apnae abhiyaan ko vastvik karna chahtae hain. Aur is ke leeyae sab se pehlae
Kendriyae Sarkaar ko Jammu Kashmir ke
mukhay mantri ke man mein paeda huyee eis shanka ko door karma hoga ki
“Kashmir’ abhi poori tarah se Bharat ka hissa nahin bana hai keon ki 1947
mein accession ke baad Maharaja Hari Singh ne apnee Riyasat ko
bharat mein ‘merge’ nahin keeya tha. Omar Sahib ko Kendriyae Sarkaar ne samjana hoga ki Hydrabad
Riyasat Bharat mein merge nahin huyee
thee. Koyee bhi Riyasat bharat mein merge nahin huyee thee. Kush chotee
–chottee riyasatoan ko veobharik drishtee/
for administration purposes se ek doosarae ya badee riyasatoan mein merge deeya geyaa tha. Yeh baat oon ke salahkaroan ko bhi samjana bahoot jaroori hai keon
ki nahin to yeh log aam admi ko agae bhi mansik pratadna detae rahein gae. Aaj bo log jo Bharat ki Jammu
Kashmir riaysat ke vidhan ko Bharatiyae vidhan se alag deekhanae aur
rajay ke dwaj ko Bharat ke Rashtriyae Dawaj ke pratidawandee ki tarah
prastut karnae ke paryaas kartae hain kus jeada hi ootsahit lag rahae hain.
Kush shirsh str ke log jammu Kashmir ko bharat ka atoot ang toe jaroor
kehtae rahae hain aur kehtae bhi hain par eis ke saath saath bo kush vivadit
veyakheyein bhi kartae rehtae hain. Bharat ke paksh mein ya Pakistan ke virod
mein yeh log agar kabi- kabaar kush kehtae hain toe bo sirf Satta hasil karnae ke rastae khulae
rakhnae ke leeyae hi kehtae hein.
Esee 25 September ke din Omar
Abdullah ne badae ghambir prashan oothae thae aur 1947 mein jammu Kashmir Riyasat ke bharat ganrajay ke
saath huyae “accession’’( adhimilan ) par prashan khadae kartae huyae ek tarah
se Kashmir ko ek aesae rajneetik veebad ki tarah pesh keeya tha jis mein
Pakistan aur bharat virodee veechardhara rakhnae balaon ko poori tarah se
nakaara nahin ja sakta. Aur fir esee 21st October ke din bharat
sarkar se Pakistan ke saath nibatanae ke leeyae baatcheet ke elaba aur bhi
rastae dekhnae ki slah dee jis ko media mein bahoot jor se pracharit
keeya geyaa. Jo kush Omar ne 25th September ko kahaa oos par abh tak
Man Mohan Sarkaar chup hai. Congress ke Pradesh adhyaksh Saif u Din Soz ne jaroor
21st October ko kahaa ki jammu Kashmir poori tarah se bharat mein
mil chooka hai. Par Soz jeh baat media ke madhyam se kehnae ke bajaey Omar
Abdullah ko sedee kehnee chahiyae thee.. Saal 2010 mein bhi Omar Abdullah ne
J&K ki Vidhan Sabha mein aesae prashan khadae keeyae thae tab bhi Dilli
Sarkar chup rahee thi aur oos ke baad tab ke greh mantra aur bit mantra ne omar
ke kathan mein koyee galat baat nahin
dekhi thee.
Saal 1947 ke pehlae jis tarah se kush kashmiri netaon ne Dogra raj ke
viroodh andolan shooroo keeya tha aur oos ka Congress ke shirsh netaon ne saath
de kar Jammu Riasat ki stheetee ko 1947 mein vigaad deeya tha esee tarah se
bharat ke viroodh kush alaggaab badi tatboan dawara keeyae geyae andolan ko
Delhi dawara mukhay dhara
ke kahae janae balae kush kashmiri netaon ki satta ki dord mein banae rehnae ki
lalsa par lagaam na laganae se aaj Kashmir Ghati mein bharat ki neeyat aur
Status par prashan khade karna ek aam veobhaar ki baat ban geyee hai. Eis baat sae bhi inkaar nahin keeya ja sakta kush logoan ko Jammu Kashmir ki prabhusatta ka
bharat dwara hanan karne aur bharat par
Kashmirion ke saath vishwaasghaat karnae jaese arop laganae se oon ko bahoot labh mila hai. Eis se oon ko bhi labh
hua hai jo bharat mein jammu Kashmir ke
1947 October mein huyae vilay /adhimilan
par prashan oothatae hain . Aesae log aprataksh roop se videshi taktoan
ke saharae bharat ki shantee bhang
karnae baloan ke bhi sahyogi bantae rahae hain aur aaj bhi banae huyae hain.
Dilli ki mookta se kush log to etnae ootsahit ho geyae
hain ki bo beena kisee vaidhanik tarak ke jahaan tak maang
kar rahae hain ki bo sarae bhartiyae
kanoon jo Jammu Kashmir ka vidhan
likhnae se pehlae ja baad mein lagaey geyae hain oon ko hata dena chahiyae. Ein mein bahoot se log bo bhi hain jo 1947 ke baad bhartiyae reyasat
jammu Kashmir ki sarkaroan aur vidaeeyka
ke hissa rahae hain aur jin ke bajurg netataon ne ja jin ke rajnitik
daloan ne jammu Kashmir ki rajay ke Sarkaar/
veedhaeka ki swakritee de kar article 370 ke madhayam se bharat ke vidhan ki kush Kendra tak seemit dharaon
ko jammu Kashmir mein bhi kush doosarae
Rajeon ki tarah seeda lagoo karnae ki parikriya mein samay samay par bhaag
leeya.
Eis baat ko undekha nahin keeya ja sakta ki Jammu Kashmir
ko jo likhit “Vidhan” deeya geya hai eis ka prabdhaan Bharat ke Vidhan se nikla
hai. Par Jammu Kashmir ke paas ek alg vidhan hai yeh sandesh ek aam admi ko
denae mein kush log kaamjaab ho geyae hain.Par Delhi se sahee veekheya nahin
huyee hai.
Yeh kaha ja sakta hai ki jis tarah doosari riyasatoan ke lityae bharat
ke vidhan ( 1950) ki dhara Article 246
Ke antragat visheon ko UNION list ( soochee), state list aur concurrent soochee mein banta geyaa hai oosee tarah
Jammu Kashmir ke liyae visheon ko alg dang se
union aur state jaesee soochi
mein rakha geyaa hai oos ka vivran vidhan ki dhara -370 ke madhyam se keeya
geya hai.. Veakhaya ke liyae hum keh saktae hain ki Jo Vishay anay
rajeonkeliyae “State” soochi mein aatae
thae / hain oon ko Jammu Kashmir ke liyae asthayee tor par ek alag soochi mein
rakha geyaa aur oos soochi ko “JK Vidhan” ke naam se rakhae geyae
prabhdhoan ke antrgat karey karnae ke liyae bharat ke vidhaan mein
kendriyae sarkaar / sansad ke liyae article 370 ka prabhdaan keeya geyaa jaesae
ki anay rajeon ki rajay soochi par kendar / Sansad ke kaam karnae keliyae bharat ke vidhan mein
dhara ( article) 249 jaesee daron ka
prabhdaan rakha geyaa tha.Yeh bhi kaha ja sakta hai ki Jammu Kashmir ke liyae
jo rajay soochi ke vishay thae oon par bhi J&K ke vidhan ki shakal mein ek
likhit neeyamabalee banaa di geyee taa ki
aanae balee rajay sarkaroan par man marji karnae par kush rok lagee
rahae. Yeh main ek aam veaakhaya ke liyae
keh raha hoon ( shabdik tor par
koyee eis par tark kar sakta hai kayon ki Jammu Kashmir ke liyae VIDHAN shabd
ka payog keeya geeya hai}. Jammu Kashmir
ke liyae koyee inkit State List aaj
nahin hai kayon ki eis prakaar ke
visheon ki veeyakheya ek tarah se article 370 ke antragat kee geyee hai.
Eis baat se bhi inkaar nahin keeya ja sakta ki bo sab
prabhdhaana jin par aaj kush log vivaad khadae kar rahae hain azad Bharat ke “
baristh / bazurg” netaon ne keeya thae na
ki Jammu Kashmir ke logoan ne khud keeya thae. Bharat ke vidhan mein
dhara 370 ka prabdhan bhi bharat ke logoan ne asthayee roop mein khud keeya tha. Jammu Kashmir ke log agar eis prakar ki karay pranali ko hi
rakhna toe oon ko samjaana hoga ki kayon
jeh oon ke liyae theek nahin hai
Ek samay tha jab sirf taknikee star par bharat mein Jammu Kashmir ke
vilay ( adhimilan) ka virodh karnae baloan ko nakara ja sakta tha. Par kayon ke
pehlae Delhi mein bathae netaon ne aur doosari reasatoan ke nagrikoan ne eis
aur samar par oochit dhhayaan nahin deeya , eis liyae aaj sirf takinikee tathaeon aur tarkoan se Kashmir ghatee mein (
khas kar )aam admi ke man mein paeda ki geyee shankaon ko door karna etna aasan
nahin hai.
Eis liyae bharat ki sarkar aur rajnitik netaon ko aab dal gat rajneetee se oopar ooth kar ein tatboan aur veechardaroan se nivatanae ka
samadhaan doondna hoga. Jammu Kashmir ke aam nagrik tak sachaeyee ko saaf aur
seedae shabdoan mein pahoonchana hoga..Oon sab tatheon aur tarkoan ko joothlana hoga jin ka prayog alagbadi aur
aur jahaan tak mukhaydhara ke kahae janae balae
keyee log bhi karate payee jatae
hain.Jin logoan ne kush aesae kathit
“badae” keeyae jin ko aaj mukhaydhara ke kush kashmiri neta
“accession aur merger” jaesee controversies ko oothane ke leeyae prayog kartae
hain , oon ke ‘ “uttraadhikarion ko
poocha jana chahiyae tha. Na hi
ein vishayeon ki sahee veakheya oon ke baad ki sarkaroan ne ki. Yehee
karan hai ki bharat ki keyee riyasatoan ka 1947 mein bharat ganrajay mein
adhimilan hua par charcha sirf Jammu Kashmir rajay ki hotee hai.
Kashmir Ghati see bahaan ka mool neevasee kashmiri Hindu ( jeeyada tar
Brahmins/ Pandits), aur Aaj doosarae rajeon ke kush Hindu aur Musalmaan bhi,
karib 20 saal se oopar ke samay se
Ghatee ke bahar reh rahae hain. Ein
ko bapis le janae ki jojnaein oon kush logoan ke dawab ke neechae dab
geyee hain jo aaj khulae tor par J&K ke bharat ke saath accession ko chunotee detae hain. ( * Daya Sagar
is a Sr coloumnist of Kashmir affairs and a social activist dayasagr45@yahoo.com).
No comments:
Post a Comment